Qaidkhane Mai ye Aabid se sakina ne kaha
Pyas ki kitni hain qisme ye batao bhaiya
Isse Pehle ki ho khamosh mera khusk Glaa
Pyas ki kitni hain qisme ye batao bhaiya
Haye sakina........ Haye yateema
1.
Ser jhukae hue aabid ne behen se ye kaha
Char qisme h behen pyase ki dil thamo zraa
Sunke phat jaye na nannha sa Kaleja tera
2.
Pyas ki qism ye Pehli hai meri pyari behen
Khal chutti h Labo'n ki to chatakhta h dehen
Tu jo kehti h to hoti h mujhe b eezaa
3.
Pehli hi qism pe krti hai sakina ye fugha'n
Ab Mai smjhi Ali Asgher kyu dikhate the zuba'n
Haye kis haal Mai aayi mere bhai ko qaza
4.
Dusri qism pe kehne lage aabid roker
Kuch nazar aata nhi ai meri pyari khuwahar
Ye batane ki badan Mai nhi taqat goya
5.
Dusri qism pe yaad aa gya sara manzar
Mere baba ko nazar kyu nhi aaye Akber
Thokre khate the maqtal Mai kyu malum hua
6.
Teesri qism ye hoti hai behen pyase ki
Chal nhi pati h aasani se garden pe churi
Ab nhi ker meri masoom behen mujse pta
7.
Maar ker cheekh sakina ne ye zinda'n Mai kaha
Tehra zarbo'n Mai kataa kyu mere baba ka glaa
Waqt E Aakhir h mera dene do ab mujhko sadaa
8.
Aakhiri qism ye pyase ki h ai khasta jigar
Gosht ho jata hai pani bhi badan k ander
Aakhri qism pe zinda'n Mai hua shor bpa
9.
Thi Ayaz or Azeem bali sakina ki sada
Mujhme majood hain ye Charo hi qisme bhaiya
Ab Na puchugi mujhe aati h zinda'n Mai qaza